Saturday, August 15, 2009

Swtantrata Diwas

Azzadi ki aaj 62 vi varsh gaath manayi gayi .saara din news channelon par shahrukh khan ki dastaan dikhayi gayi ki kis tarah se unko US mein apmaanit kiya gaya aur unhein do ghanton tak airport par bithaye rakha.
Azzadi ke din bhi log pana dukhda lekar baith jaate hai .Har cheez ko badha chadha kar batana .aiport par frisking karna bhi to zaroori hai , aur har aiport par ye bhi pehle se hi likha -darshaya jaata hai ki aapko frisking mein madat karni hogi , phir kyon itna bakheda???
aaj aapke saath hua isiliye pura asmaan sir pe uthe liya .Kyon ?? itne dino tak dusron ke saath ho raha tha , tab janab kahan the ??
mujhe is baat ki hairani hoti hai ki hum apne atithiyon ka kitna aadar satkar karte hai , aur wo hamare saath aisa suluk kyon karte hai ??
par haan , aaj shah rukh ki Swades Film dekhi , bahut achcha laga.kaafi acchi film hai ...zaroor dekhiye!! apni mitti ki saundhi khushboo ki baat hi kuch aur hai !!
apna desh, apni mitti , apne log , apne sanskar ...sach mein , in jaisi baat aur kahan??

Bas aaj bhar ke liye itna hi !! Jai Hind !!